Yeah
Yeh mere veero ke liye
Mere desh ki dharti
Zindabaad
Jawano ki dharti
Zindabaad
Kisano ki dharti
Zindabad
Sare bolo
Zindabad
Ran me jaate veer kahate
Seene par goli hain khate
Peeth apni kabhi na dikhate
Bharat maa ke laal kahate
Sardi Garmi Aandhi Toofan
Sab khushi se sehte jate
Sar par baandhe kafan jawaan
Aagey aagey badhte jate
Hum soye chain se
Woh sarhad par marte jaate
Badhte jaate badhte jaate
Desh ke pehredaar kahate
Maayen ghar pe raah nihare
Dulhan ki chudi khan khave
Behno ki raakhi pyaar jatave
Par veer apna farz nibhave
Watan hi jiski aan hain
Watan hi jiski shaan hain
Watan ki mitti sar pe lagaye
Shero ki dahaad sunaaye
Sher jawaan zindabad
Bharatmata zindabad
Sher jawaan zindabad
Bharatmata zindabad