Aaj phir teri chandni
Aa gayi hai mere gali
Teri roshni se mera chehra hai khil utha
Aarzoo meri ho gayi
Phir iss dafa bhi poori
Tu jo aa gayi hai mere ghar mein aaj priya
Tere reshami yeh zulfein
Chaal teri ghayal karein
Nahi khoobsurat koi tujh sa priya
Jheel jaisi aankhen teri
Jo meri aankhon se hai mili
Tere prem ke sagar mein
Doob gaya Sundari
Sangemarmar jaise badan
Ko chhuke tere hi
Tune swarg ka ehsaas hai diya
Mujhko Sundari
Meri jaane jaan, shaayarana
Tujhe dekh kar dil hua
Tu hai meri aashiqui jo
Tere bin na jee paaunga
Tu hi Diwali meri
Tu Eid ki chandni
Tu hi mera hai mazhab
O dilkashi
Nazron ka yeh safar
Ruka hai tujh pe hi
Tera sahara mil gaya hai
Mujhko Sundari
Yeh saat janmon ka
Saath chhodenge na kabhi
Hai mera yeh waada
Tujhse Sundari
Jheel jaisi aankhen teri
Jo meri aankhon se hai mili
Tere prem ke sagar mein
Doob gaya Sundari
Sangemarmar jaise badan
Ko chhuke tere hi
Tune swarg ka ehsaas hai diya
Mujhko Sundari